KHwab-e-derina Se RuKHsat Ka Sabab Puchhte Hain
KHwab-e-derina se ruKHsat ka sabab puchhte hain
chaliye pahle nahin puchha tha to ab puchhte hain
kaise KHush-taba hain is shahr-e-dil-azar ke log
mauj-e-KHun sar se guzar jati hai tab puchhte hain
ahl-e-duniya ka to kya zikr ki diwanon ko
sahiban-e-dil-e-shorida bhi kab puchhte hain
KHak uDati hui raaten hon ki bhige hue din
awwal-e-subh ke gham aaKHir-e-shab puchhte hain
ek hum hi to nahin hain jo uThate hain sawal
jitne hain KHak-basar shahr ke sab puchhte hain
yahi majbur yahi mohr-ba-lab be-awaz
puchhne par kabhi aaen to ghazab puchhte hain
karam-e-masnad-o-mimbar ki ab arbab-e-hakam
zulm kar chukte hain tab marzi-e-rab puchhte hain
(1322) Peoples Rate This