Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4589ebd5353cdc933404b13ee453795d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

KHwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai

ghar ki wahshat se larazta hun magar jaane kyun

sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

Dub jaun to koi mauj nishan tak na batae

aisi naddi mein utar jaane ko ji chahta hai

kabhi mil jae to raste ki thakan jag paDe

aisi manzil se guzar jaane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko KHush aaya tha bahut

usi paiman se mukar jaane ko ji chahta hai

(1199) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai In English By Famous Poet Iftikhar Arif. KHwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem KHwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download KHwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Ji Chahta Hai in PDF.