Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d81b6d3ae36bde48b066eb24f16f320f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahan Ke Nam O Nasab Ilm Kya Fazilat Kya - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Kahan Ke Nam O Nasab Ilm Kya Fazilat Kya

kahan ke nam o nasab ilm kya fazilat kya

jahan-e-rizq mein tauqir-e-ahl-e-hajat kya

shikam ki aag liye phir rahi hai shahr-ba-shahr

sag-e-zamana hain hum kya hamari hijrat kya

dimashq-e-maslahat o kufa-e-nifaq ke bich

fughan-e-qafila-e-be-nawa ki qimat kya

maal-e-izzat-e-sadat-e-ishq dekh ke hum

badal gae to badalne pe itni hairat kya

qimar-KHana-e-hasti mein ek bazi par

tamam umr laga di to phir shikayat kya

farogh-e-sanat-e-qad-awari ka mausam hai

subuk hue pe bhi nikla hai qadd-o-qamat kya

(1732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Ke Nam O Nasab Ilm Kya Fazilat Kya In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Kahan Ke Nam O Nasab Ilm Kya Fazilat Kya is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Kahan Ke Nam O Nasab Ilm Kya Fazilat Kya for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Kahan Ke Nam O Nasab Ilm Kya Fazilat Kya in PDF.