Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9a0de195ae2217c86d29f95f43fcdaaf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaisa Hun Waisa Kyun Hun Samjha Sakta Tha Main - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Jaisa Hun Waisa Kyun Hun Samjha Sakta Tha Main

jaisa hun waisa kyun hun samjha sakta tha main

tum ne puchha to hota batla sakta tha main

aasuda rahne ki KHwahish mar gai warna

aage aur bahut aage tak ja sakta tha main

chhoTi-moTi ek lahar hi thi mere andar

ek lahar se kya tufan uTha sakta tha main

kahin kahin se kuchh misre ek-adh ghazal kuchh sher

is punji par kitna shor macha sakta tha main

jaise sab likhte rahte hain ghazlen nazmen git

waise likh likh kar ambar laga sakta tha main

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaisa Hun Waisa Kyun Hun Samjha Sakta Tha Main In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Jaisa Hun Waisa Kyun Hun Samjha Sakta Tha Main is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Jaisa Hun Waisa Kyun Hun Samjha Sakta Tha Main for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Jaisa Hun Waisa Kyun Hun Samjha Sakta Tha Main in PDF.