Hum Apne Raftagan Ko Yaad Rakhna Chahte Hain
hum apne raftagan ko yaad rakhna chahte hain
dilon ko dard se aabaad rakhna chahte hain
mubaada mundamil zaKHmon ki surat bhul hi jaen
abhi kuchh din ye ghar barbaad rakhna chahte hain
bahut raunaq thi un ke dam qadam se shahr-e-jaan mein
wahi raunaq hum un ke baad rakhna chahte hain
bahut mushkil zamanon mein bhi hum ahl-e-mohabbat
wafa par ishq ki buniyaad rakhna chahte hain
saron mein ek hi sauda ki lau dene lage KHak
umiden hasb-e-istedad rakhna chahte hain
kahin aisa na ho harf-e-dua mafhum kho de
dua ko surat-e-fariyaad rakhna chahte hain
qalam aaluda-e-nan-o-namak rahta hai phir bhi
jahan tak ho sake aazad rakhna chahte hain
(1198) Peoples Rate This