Hijr Ki Dhup Mein Chhanw Jaisi Baaten Karte Hain
hijr ki dhup mein chhanw jaisi baaten karte hain
aansu bhi to maon jaisi baaten karte hain
rasta dekhne wali aankhon ke anhone-KHwab
pyas mein bhi dariyaon jaisi baaten karte hain
KHud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin pate hain
phir bhi log KHudaon jaisi baaten karte hain
ek zara si jot ke bal par andhiyaron se bair
pagal diye hawaon jaisi baaten karte hain
rang se KHushbuon ka nata TuTta jata hai
phul se log KHizaon jaisi baaten karte hain
hum ne chup rahne ka ahd kya hai aur kam-zarf
hum se suKHan-araon jaisi baaten karte hain
(1796) Peoples Rate This