Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_edc04396ab3b7419091884575206008e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dukh Aur Tarah Ke Hain Dua Aur Tarah Ki - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Dukh Aur Tarah Ke Hain Dua Aur Tarah Ki

dukh aur tarah ke hain dua aur tarah ki

aur daman-e-qatil ki hawa aur tarah ki

diwar pe likkhi hui tahrir hai kuchh aur

deti hai KHabar KHalq-e-KHuda aur tarah ki

kis dam uThaenge KHaridar ki is bar

bazar mein hai jins-e-wafa aur tarah ki

bas aur koi din ki zara waqt Thahar jae

sahraon se aaegi sada aur tarah ki

hum ku-e-malamat se nikal aae to hum ko

ras aai na phir aab-o-hawa aur tarah ki

(1136) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukh Aur Tarah Ke Hain Dua Aur Tarah Ki In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Dukh Aur Tarah Ke Hain Dua Aur Tarah Ki is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Dukh Aur Tarah Ke Hain Dua Aur Tarah Ki for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Dukh Aur Tarah Ke Hain Dua Aur Tarah Ki in PDF.