Bikhar Jaenge Hum Kya Jab Tamasha KHatm Hoga
bikhar jaenge hum kya jab tamasha KHatm hoga
mere mabud aaKHir kab tamasha KHatm hoga
charagh-e-hujra-e-durwesh ki bujhti hui lau
hawa se kah gai hai ab tamasha KHatm hoga
kahani mein nae kirdar shamil ho gae hain
nahin malum ab kis Dhab tamasha KHatm hoga
kahani aap uljhi hai ki uljhai gai hai
ye uqda tab khulega jab tamasha KHatm hoga
zamin jab adl se bhar jaegi nurun-ala-nur
ba-nam-e-maslak-o-mazhab tamasha KHatm hoga
ye sab kaTh-putliyan raqsan rahengi raat ki raat
sahar se pahle pahle sab tamasha KHatm hoga
tamasha karne walon ko KHabar di ja chuki hai
ki parda kab girega kab tamasha KHatm hoga
dil-e-na-mutmain aisa bhi kya mayus rahna
jo KHalq uTThi to sab kartab tamasha KHatm hoga
(6512) Peoples Rate This