Basti Bhi Samundar Bhi Bayaban Bhi Mera Hai
basti bhi samundar bhi bayaban bhi mera hai
aankhen bhi meri KHwab-e-pareshan bhi mera hai
jo Dubti jati hai wo kashti bhi hai meri
jo TuTta jata hai wo paiman bhi mera hai
jo hath uThe the wo sabhi hath the mere
jo chaak hua hai wo gireban bhi mera hai
jis ki koi aawaz na pahchan na manzil
wo qafila-e-be-sar-o-saman bhi mera hai
virana-e-maqtal pe hijab aaya to is bar
KHud chiKH paDa main ki ye unwan bhi mera hai
waraftagi-e-subh-e-bashaarat ko KHabar kya
andesha-e-sad-sham-e-ghariban bhi mera hai
main waris-e-gul hun ki nahin hun magar ai jaan
KHamyaza-e-tauhin-e-bahaaran bhi mera hai
miTTi ki gawahi se baDi dil ki gawahi
yun ho to ye zanjir ye zindan bhi mera hai
(991) Peoples Rate This