Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc5ab24f3b17ff103fdd3f7f556b1426, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Azab-e-wahshat-e-jaan Ka Sila Na Mange Koi - Iftikhar Arif Poetry In English - Darsaal

Azab-e-wahshat-e-jaan Ka Sila Na Mange Koi

azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi

nae safar ke liye rasta na mange koi

buland hathon mein zanjir Dal dete hain

ajib rasm chali hai dua na mange koi

tamam shahr mukarram bas ek mujrim main

so mere baad mera KHun-baha na mange koi

koi to shahr-e-tazabzub ke sakinon se kahe

na ho yaqin to phir moajiza na mange koi

azab-e-gard-e-KHizan bhi na ho bahaar bhi aae

is ehtiyat se ajr-e-wafa na mange koi

(1182) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Azab-e-wahshat-e-jaan Ka Sila Na Mange Koi In English By Famous Poet Iftikhar Arif. Azab-e-wahshat-e-jaan Ka Sila Na Mange Koi is written by Iftikhar Arif. Read famous Poem Azab-e-wahshat-e-jaan Ka Sila Na Mange Koi for youth and Student by Iftikhar Arif. Free Download Azab-e-wahshat-e-jaan Ka Sila Na Mange Koi in PDF.