Ahl-e-mohabbat Ki Majburi BaDhti Jati Hai
ahl-e-mohabbat ki majburi baDhti jati hai
miTTi se gulab ki duri baDhti jati hai
mehrabon se mahal-sara tak Dheron-Dher charagh
jalte jate hain be-nuri baDhti jati hai
karobar mein ab ke KHasara aur tarah ka hai
kaam nahin baDhta mazduri baDhti jati hai
jaise jaise jism tashaffi pata jata hai
waise waise qalb se duri baDhti jati hai
girya-e-nim-shabi ki neamat jab se bahaal hui
har lahza ummid-e-huzuri baDhti jati hai
(1565) Peoples Rate This