Ab Bhi Tauhin-e-itaat Nahin Hogi Humse
ab bhi tauhin-e-itaat nahin hogi hum se
dil nahin hoga to baiat nahin hogi hum se
roz ek taza qasida nai tashbib ke sath
rizq bar-haq hai ye KHidmat nahin hogi hum se
dil ke mabud jabinon ke KHudai se alag
aise aalam mein ibaadat nahin hogi hum se
ujrat-e-ishq wafa hai to hum aise mazdur
kuchh bhi kar lenge ye mehnat nahin hogi hum se
har nai nasl ko ek taza madine ki talash
sahibo ab koi hijrat nahin hogi hum se
suKHan-arai ki surat to nikal sakti hai
par ye chakki ki mashaqqat nahin hogi hum se
(2465) Peoples Rate This