Virana-e-KHayal
dasht-e-garm-o-sard mein ye be-dayaron ka hujum
be-KHabar mahaul se
chup-chap
KHud se ham-kalam
chal raha hai sar jhukae is tarah
jis tarah marghaT pe ruhon ka KHiram
zard chehron par hai sadiyon ki thakan
sans lete hain kuchh aise
jaise hoti ho chubhan
honT par ghamgin tabassum aur sine mein buka
har qadam par haDDiyon ke kaDkaDane ki sada
un ki aankhen
jin pe hukm-e-dida-e-bina lagate hain
dewtaon ki basirat kanp jae
zehn o dil ka fasla tai karte karte hanp jae
wusat-e-arz-o-sama ek dida-e-hairan hai
uf! ye mela kis qadar viran hai!!
(905) Peoples Rate This