Shauq
sham jab Dhalti hai main apne KHarabe ki taraf
loTta hun sar-nigun, bojhal qadam
bara ghanTon ki mashaqqat aur thakan
baDh ke le leti hai mujh ko god mein
aur sail-e-tirgi mein Dub jati hai ummid o shauq ki ek ek kiran
rahguzar-e-arzu par chaar-su uDti hai dhul
aur ek aawaz aati hai kahin se
jo ki an-jaani bhi pahchani bhi hai
zindagi kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin, kuchh bhi nahin
ek musalsal marg, ek sail-e-bala, nezon ke ban
aahon, karahon ke siwa
phir isi tarik lamhe, phir isi nazuk ghaDi
aarzu ki rahguzar par chand naqsh-e-pa ubharte hain sitaron ki tarah
lahlahata hai koi aanchal bahaaron ki tarah
phail jati hai kisi gesu ki nikhat chaar-su
ek firdausi tabassum ki sunahri chandni
dhime dhime, zina zina
gungunati, raqs farmati hui
baam-e-gham se KHana-e-dil mein utar kar
thapthapati hai mujhe
git gati hai, kabhi lori sunati hai mujhe
aur phir jab subh ko KHurshid-e-alam-tab ki pahli kiran
gudgudati hai mujhe
kar-gah-e-dahr mein wapas bulati hai mujhe
aarzu o justuju dil mein jawan pata hun main
shauq ki mai ke nashe mein chur ho jata hun main!!
(701) Peoples Rate This