Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4fab4eac6bce2cae426315ac59dd3569, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maqtal Ke Is Sukut Pe Hairat Hai Kya Kahen - Iftikhar Aazmi Poetry In English - Darsaal

Maqtal Ke Is Sukut Pe Hairat Hai Kya Kahen

maqtal ke is sukut pe hairat hai kya kahen

aisi faza to ho ki jise karbala kahen

ye karwan-e-umr ye sahra ye KHamushi

aati hai sharm KHud pe bas ab aur kya kahen

logon ne KHamushi ki zaban sikh li to phir

kya kar sakenge qatil-e-nutq-o-sada kahen

wo zarb thi ki nutq ki zanjir khul gai

kya aur mehrbani-e-dast-e-jafa kahen

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqtal Ke Is Sukut Pe Hairat Hai Kya Kahen In English By Famous Poet Iftikhar Aazmi. Maqtal Ke Is Sukut Pe Hairat Hai Kya Kahen is written by Iftikhar Aazmi. Read famous Poem Maqtal Ke Is Sukut Pe Hairat Hai Kya Kahen for youth and Student by Iftikhar Aazmi. Free Download Maqtal Ke Is Sukut Pe Hairat Hai Kya Kahen in PDF.