Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6bd05c3f1eeeab604601d664aadb20ae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ruh Jismon Se Bahar BhaTakti Rahi - Iffat Zarrin Poetry In English - Darsaal

Ruh Jismon Se Bahar BhaTakti Rahi

ruh jismon se bahar bhaTakti rahi

zaKHmi yaadon ko aanchal se Dhakti rahi

mere hathon mein thin gard ki chadaren

zindagi thi ke daman jhaTakti rahi

chandni mein hasin zahr ghulta raha

sar ko marmar pe nagin paTakti rahi

main ghaTaon se KHud ko bachati rahi

tegh bijli ki sar pe laTakti rahi

mere honTon ko kab mil saki bansuri

sans 'zarrin' labon pe aTakti rahi

(753) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ruh Jismon Se Bahar BhaTakti Rahi In English By Famous Poet Iffat Zarrin. Ruh Jismon Se Bahar BhaTakti Rahi is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem Ruh Jismon Se Bahar BhaTakti Rahi for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download Ruh Jismon Se Bahar BhaTakti Rahi in PDF.