Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_167493a41e295ac998f31359d4283ffd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya - Iffat Zarrin Poetry In English - Darsaal

KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya

KHwab aankhon se zaban se har kahani le gaya

muKHtasar ye hai wo meri zindagani le gaya

phul se mausam ki barsaten hawaon ki mahak

ab ke mausam ki wo sab shamen suhani le gaya

de gaya mujh ko sarabon ka sukut-e-mustaqil

mere ashkon se wo dariya ki rawani le gaya

KHak ab uDne lagi maidan sahra ho gae

ret ka tufan dariyaon se pani le gaya

kaun pahchanega 'zarrin' mujh ko itni bhiD mein

mere chehre se wo apni har nishani le gaya

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya In English By Famous Poet Iffat Zarrin. KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download KHwab Aankhon Se Zaban Se Har Kahani Le Gaya in PDF.