Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4mnm91dmcuhf31d6np0gh974n7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jism-o-jaan Ki Basti Mein Silsile Nahin Milte - Iffat Zarrin Poetry In English - Darsaal

Jism-o-jaan Ki Basti Mein Silsile Nahin Milte

jism-o-jaan ki basti mein silsile nahin milte

ab kisi bhi markaz se daere nahin milte

do-qadam bichhaDne se qafile nahin milte

manzilen to milti hain raste nahin milte

barha tarasha hai hum ne aap ka chehra

aap ko na jaane kyun aaine nahin milte

waqt ki kami kah kar jehl ko chhupate hain

aaj-kal kitabon mein hashiye nahin milte

aaj bhi zamane mein aadmi karishma hain

shoabde to milte hain moajize nahin milte

zindagi ka har lamha aarzu ka dushman hai

hadson ki KHwahish mein hadse nahin milte

aaj qatl karna bhi ban gaya hai fan 'zarrin'

qatl karne walon ke kuchh pate nahin milte

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism-o-jaan Ki Basti Mein Silsile Nahin Milte In English By Famous Poet Iffat Zarrin. Jism-o-jaan Ki Basti Mein Silsile Nahin Milte is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem Jism-o-jaan Ki Basti Mein Silsile Nahin Milte for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download Jism-o-jaan Ki Basti Mein Silsile Nahin Milte in PDF.