Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2cc6f08bdfefe9c87857141837dc1883, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Be-samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe - Iffat Zarrin Poetry In English - Darsaal

Be-samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe

be-samt raston pe sada le gai mujhe

aahaT magar junun ki bacha le gai mujhe

patthar ke jism mom ke chehre dhuan dhuan

kis shahr mein uDa ke hawa le gai mujhe

mathe pe us ke dekh ke lali sindur ki

zaKHmon ki anjuman mein hina le gai mujhe

KHushbu pighalte lamhon ki sanson mein kho gai

KHushbu ki wadiyon mein saba le gai mujhe

jo log bhik dete hain chehre ko dekh kar

'zarrin' unhin ke dar pe ana le gai mujhe

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe In English By Famous Poet Iffat Zarrin. Be-samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe is written by Iffat Zarrin. Read famous Poem Be-samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe for youth and Student by Iffat Zarrin. Free Download Be-samt Raston Pe Sada Le Gai Mujhe in PDF.