Shab-e-furqat Ki Tanhai Ka Lamha
shab-e-furqat ki tanhai ka lamha
kai raaz-e-nihani kholta hai
bahut din se wo na-manus lahja
mere dasht-e-ana mein gunjta hai
meri pahchan rishte mera maqsad
sada sargoshiyon mein puchhta hai
main sargardan hun us ki justuju mein
wo kahta hai ki mujh ko DhunDta hai
hai us se khul ke milna ab zaruri
pas-e-parda jo mujh ko dekhta hai
(899) Peoples Rate This