Rah-e-justuju Mein BhaTak Gae To Kisi Se Koi Gila Nahin
rah-e-justuju mein bhaTak gae to kisi se koi gila nahin
ki hum us ke ho ke na ji sake wo hamara ban ke mila nahin
mere fikr-o-fan pe muhit hai jo tasawwur ek KHuda-numa
hai talash us ki nahin pata wo KHuda bhi hai ki KHuda nahin
jo mili nahin mujhe aagahi hai meri nigah se ajnabi
ho rag-e-gulu se qarib bhi to yahi kahenge mila nahin
jo basir ho wo nazar bhi de mujhe aagahi ka hunar bhi de
magar ab tu meri KHabar bhi de ki mujhe KHud apna pata nahin
hain 'shahab' mere hawas gum ki har ek shab hai shab-e-dahum
jo bujha to bujh ke hi rah gaya hai charagh phir se jala nahin
(829) Peoples Rate This