Nazar Jo Aaya Us Pe Eatibar Kar Liya Gaya
nazar jo aaya us pe eatibar kar liya gaya
haqiqaton ke dark se farar kar liya gaya
quyud-e-agahi se jab sahm gain jibillaten
nazar ke gird rang ka hisar kar liya gaya
shuhud ki jo sath pe ananiyat ka shor uTha
to daman-e-KHudi ko tar-tar kar liya gaya
guman hua ki rasta abhi meri nazar mein hai
sharir shutr-nafs be-mahaar kar liya gaya
jo log dil ki uljhanon mein gharq the KHamosh the
unhen bhi ahl-e-jazb mein shumar kar liya gaya
rah-e-talab ki saKHtiyon ke shikwe lab-ba-lab hue
surur-e-jidd-o-jahd ko KHumar kar liya gaya
chale kabhi kabhi udhar se azmaton ke qafile
wafa ka azm jin se paedar kar liya gaya
wo ishq tha ki bandagi zaruraten ki aagahi
bas ek rabt tha jo ustuwar kar liya gaya
waraq waraq rumuz-e-agahi ke the likhe hue
kutub ko bar-e-pusht-bar-himar kar liya gaya
usul aur furua sab 'shahab' ek taraf hue
ajab nizam-e-zist iKHtiyar kar liya gaya
(1244) Peoples Rate This