Hai Ye Shahr-e-ishq Yan Aab-o-hawa Kuchh Aur Hai
hai ye shahr-e-ishq yan aab-o-hawa kuchh aur hai
surKH rangat hai zamin ki aur faza kuchh aur hai
yan junun hai karwan-e-shauq ko bang-e-rahil
ai musafir ye payam-e-naqsh-e-pa kuchh aur hai
hai juda is shahr-e-dil mein lazzat-e-ranj-o-alam
is jagah KHun-e-jigar ka zaiqa kuchh aur hai
aarif-e-kaamil hain in sahraon ke sahra-naward
yan to har majnun ka andaz-o-ada kuchh aur he
zikr ki tamsil har tansil ki tabir hai
lutf-e-jannat aur hai aab-e-baqa kuchh aur hai
regzar-e-hijr mein ehsas ke zamzam nihan
is jagah to tishnagi ka silsila kuchh aur hai
tu jo nau-warid hai sun yan aish-e-hasti hai juda
husn ki sarkar mein lafz-e-fana kuchh aur hai
dosh par aaghosh mein pahlu mein haidar kab na the
dast-e-mursal par bulandi ka maza kuchh aur hai
ahl-e-radd-o-kad ne sau tafsir ki ek lafz ki
par na samjhe ki nabi ka muddaa kuchh aur hai
sun kisi majzub se ek bar rudad-e-ghadir
KHum ke mimbar par ali ka martaba kuchh aur hai
surKH-ru ho jae tujh se dawa-e-ulfat shahab
aashiqon ke zinda rahne ki ada kuchh aur hai
(867) Peoples Rate This