Hai Ye Mar MiTne Ka Inam Tumhein Kya Malum
hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum
lazzat-e-dashna-e-ba-dnam tumhein kya malum
tum ne dekhi hai faqat meri pareshan-haali
mujh pe kya kya hue ikram tumhein kya malum
hairati ho ke uThae hue dil phirte hain
is ke lag jaane ka anjam tumhein kya malum
jazba-e-KHwahish-o-ehsas ki is bazi mein
kaun ho jaega nakaam tumhein kya malum
dekhte ho mujhe par-basta to hans dete ho
hai yahan kaun tah-e-dam tumhein kya malum
waqt ka rang badalte nahin dekha tum ne
surat-e-gardish-e-ayyam tumhein kya malum
mausam-e-mehr ke do-chaar baras dekhe hain
saKHti-e-mausam-e-alam tumhein kya malum
(925) Peoples Rate This