Ek Muddat Se Sar-e-dosh-e-hawa Hun Main Bhi
ek muddat se sar-e-dosh-e-hawa hun main bhi
itna shaffaf ki ham-rang-e-faza hun main bhi
tu bhi waqif meri tasir ke mahshar se he
aur minnat-kahs-e-altaf-o-ata hun main bhi
tu manadir ke singhasan pe ba-sad izz-o-waqar
phul ki thaal mein lau deta diya hun main bhi
tu bhi izhaar-e-talluq ke sabab DhunDta hai
shiddat-e-shauq se joya-e-raza hun main bhi
haram-e-naz ki chilman se ulajhne wali
dil-e-betab-e-mohabbat ki dua hun main bhi
mushtari mera bhi aaega ye main jaanta hun
pahle bazar mein aane se bika hun main bhi
ho jo yak-pahlu-o-yak-rang nahin hai tu 'shahab'
shoala-o-shabnam-o-simab-o-saba hun main bhi
(779) Peoples Rate This