Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5833407f549c163f62de9d994e73e027, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yahan Se Chaaron Taraf Raste Nikalte Hain - Idris Babar Poetry In English - Darsaal

Yahan Se Chaaron Taraf Raste Nikalte Hain

yahan se chaaron taraf raste nikalte hain

Thahar Thahar ke hum is KHwab se nikalte hain

kisi kisi ko hai tahzib-e-dasht-arai

kai to KHak uDate hue nikalte hain

yahan riwaj hai zinda jala diye jaen

wo log jin ke gharon se diye nikalte hain

ajib dasht hai dil bhi jahan se jate hue

wo KHush hain jaise kisi bagh se nikalte hain

ye log so rahe honge jabhi to aaj talak

zaruf-e-KHak se KHwabon bhare nikalte hain

sitare dekh ke KHush hun ki roz meri tarah

jo kho gae hain unhen DhunDne nikalte hain

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahan Se Chaaron Taraf Raste Nikalte Hain In English By Famous Poet Idris Babar. Yahan Se Chaaron Taraf Raste Nikalte Hain is written by Idris Babar. Read famous Poem Yahan Se Chaaron Taraf Raste Nikalte Hain for youth and Student by Idris Babar. Free Download Yahan Se Chaaron Taraf Raste Nikalte Hain in PDF.