Teri Gali Se Guzarne Ko Sar Jhukae Hue
teri gali se guzarne ko sar jhukae hue
faqir hujra-e-haft-asman uThae hue
koi daraKHt sarae ki jis mein ja baiThen
parinde apni pareshaniyan bhulae hue
mere sawal wahi TuT-phuT ki zad mein
jawab un ke wahi hain bane-banae hue
hamein jo dekhte the jin ko dekhte the hum
wo KHwab KHak hue aur wo log sae hue
shikariyon se mere ehtijaj mein 'babar'
daraKHt aaj bhi shamil the hath uThae hue
(848) Peoples Rate This