Rabt Asiron Ko Abhi Us Gul-e-tar Se Kam Hai
rabt asiron ko abhi us gul-e-tar se kam hai
ek raKHna sa hai diwar mein dar se kam hai
harf ki lau main udhar aur baDha deta hun
aap batlaen to ye KHwab jidhar se kam hai
hath duniya ka bhi hai dil ki KHarabi mein bahut
phir bhi ai dost teri ek nazar se kam hai
soch lo main bhi hua chup to giran guzrega
ye andhera jo mere shor o sharar se kam hai
wo bujha jae to ye dil ko jala de phir se
sham hi kaun si rahat mein sahar se kam hai
KHak itni na uDaen to hamein bhi 'babar'
dasht achchha hai ki virani mein ghar se kam hai
(831) Peoples Rate This