Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_941d43f312af7b13ecb5a9b3e5ba8e6d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha - Idris Babar Poetry In English - Darsaal

Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha

mere qarib hi mahtab dekh sakta tha

gae dinon mein ye talab dekh sakta tha

ek aise waqt mein sab peD main ne naql kiye

jahan pe main inhen shadab dekh sakta tha

ziyaada der usi naw mein Thaharne se

main apne-ap ko gharqab dekh sakta tha

koi bhi dil mein zara jam ke KHak uData to

hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha

kahaniyon ne meri aadaten bigaD di thin

main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha

magar wo shahr kahani mein rah gaya hai dost!

jahan main rah ke tere KHwab dekh sakta tha

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha In English By Famous Poet Idris Babar. Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha is written by Idris Babar. Read famous Poem Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha for youth and Student by Idris Babar. Free Download Mere Qarib Hi Mahtab Dekh Sakta Tha in PDF.