Matla Ghazal Ka Ghair Zaruri Kya Kyun Kab Ka Hissa Hai
matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai
zindagi chokleT cake hai thoDa thoDa sab ka hissa hai
ab jo bar mein tanha pita hun coffee ke nam pe zahr
us ki talKH si shirini mein us ke lab ka hissa hai
lok kahaniyon mein ma-baad-e-jadid ki pesh-amad jaise
fiction ki re-cell walue mein mazhab ka hissa hai
ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iran
sindh hai chin mein aur pyara punjab arab ka hissa hai
sohni ya sohne se pahle haq hai ghaDe par pani ka
kab se ghaDi mein jab aur tab se zyaada ab ka hissa hai
mana hijr ki raat hai ye par kitni KHushi ki baat hai ye
gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab ka hissa hai
cab chalane wale daji tab chalane wala saji
wo jo adab ka hissa the to ye bhi adab ka hissa hai
tai hua nazm hi mustaqbil hai pan-sau bil hai bhai pyaro
aankh na maro ghazal hamare hasab-nasab ka hissa hai
ek din jab buDhe painter ke pas sharab ke paise nahin the
chhat par ye ghanghor ghaTa tab se is pub ka hissa hai
sex jo pahle saKHtiyati roz-o-shab ka hissa thi
ab mabaad-e-saKHtiyati roz-o-shab ka hissa hai
qafiya bahr radif waghaira jaise harif zarif waghaira
in ko ThanDa soDa pilao bhai ye kab ka qissa hai
(1166) Peoples Rate This