Kisi Ke Hath Kahan Ye KHazana Aata Hai
kisi ke hath kahan ye KHazana aata hai
mere aziz ko har ek bahana aata hai
zara sa mil ke dikhao ki aise milte hain
bahut pata hai tumhein chhoD jaana aata hai
sitare dekh ke jalte hain aankhen malte hain
ek aadmi liye sham-e-fasana aata hai
abhi jazire pe hum tum nae nae to hain dost
Daro nahin mujhe sab kuchh banana aata hai
yahan charagh se aage charagh jalta nahin
faqat gharane ke pichhe gharana aata hai
ye baat chalti hai sina-ba-sina chalti hai
wo sath aata hai shana-ba-shana aata hai
gulab cinema se pahle chand bagh ke baad
utar paDunga jahan karKHana aata hai
ye kah ke us ne semester break kar Dala
suna tha aap ko likhna likhana aata hai
zamane ho gae dariya to kah gaya tha mujhe
bas ek mauj ko kar ke rawana aata hai
chhalak na jae mera ranj meri aankhon se
tumhein to apni KHushi ko chhupana aana hai
wo roz bhar ke KHalai jahaz uDate phiren
hamein bhi raj ke tamasKHur uDana aata hai
pachas mil hai KHushki se bahriya-town
bas ek ghanTe mein achchha zamana aata hai
break-dance sikhaya hai naw ne dil ko
hawa ka git samundar ko gana aata hai
mujhe defence ki lingua-franca nain aati
tumhein to sadr ka qaumi tarana aata hai
mujhe to KHair zamin ki zaban nahin aati
tumhein mirriKH ka qaumi tarana aata hai
(1497) Peoples Rate This