KHamosh Rah Ke Zawal-e-suKHan Ka Gham Kiye Jaen
KHamosh rah ke zawal-e-suKHan ka gham kiye jaen
sawal ye hai ki yun kitni der hum kiye jaen
ye naqsh-gar ke liye sahal bhi na ho shayad
ki hum se aur bhi is KHak par raqam kiye jaen
kai guzishta zamane kai shikasta nujum
jo dastaras mein hain lafzon mein kaise zam kiye jaen
ye goshware zaban ke bahut sambhaal chuke
sau sher kaT diye jaen KHwab kam kiye jaen
tera KHayal bhi aae to kitni der talak
kai ghazal mere dasht-e-dil mein ram kiye jaen
main jaanta hun ye mumkin nahin magar ai dost
main chahta hun ki wo KHwab phir baham kiye jaen
hisab dil ka rakhen hum ki dahr ka 'babar'
shumar dagh kiye jaen ya diram kiye jaen
(813) Peoples Rate This