Karte Phirte Hain Ghazalan Tera Charcha Sahab
karte phirte hain ghazalan tera charcha sahab
hum bhi nikle hain tujhe dekhne sahra sahab
ye kuchh aasar hain ek KHwab-shuda basti ke
yahin bahta tha wo dil nam ka dariya sahab
tha yahi haal hamara bhi magar jagte hain
kya ajab KHwab sunaya hai dobara sahab
sahal mat jaan ki tujh ruKH pe KHuda hote hue
dil hua jata hai gard-e-rah-e-duniya sahab
hum na kahte the ki us ko nazar-andaz na kar
aaina TuT gaya dekh liya na sahab
yun hi din Dub raha ho to KHayal aata hai
yun hi duniya se guzar jate hain kya kya sahab
aabshaaron ki jagah dil mein kisi ke shab-o-roz
KHak uDti ho to wo KHak likhega sahab
sach kaha aap ki duniya mein hamara kya kaam
hum to bas yunhi chale aae the achchha sahab
tum to kya ishq-e-bala-KHez ke aage bahar
mir sahab hain baDi chiz na mirza sahab
(699) Peoples Rate This