Is Se Phulon Wale Bhi Aajiz Aa Gae Hain
is se phulon wale bhi aajiz aa gae hain
teri KHatir jo guldasta DhunD raha hai
dil ko dhakke khate nikale jate dekh ke
sahil apna pakka dariya DhunD raha hai
tasma khula jaise aazad talazma ho wah
ek pahan ke dusra juta DhunD raha hai
us ke flat se bahar koi dur ka dost
pas ke bus stop ka rasta DhunD raha hai
bas kar de ab, kab se matla DhunD raha hai
kya koi tisra chautha misra DhunD raha hai
ma kiye bint-e-mochi ko chautha sal hai
tab se wo job aur karmu rishta DhunD raha hai
har masnui pankha jhuTa make-up kar ke
zat ki shahr-panah mein raKHna DhunD raha hai
lamp jalate aur bujha ke phir se jalate
ya wo mujhe gum karta hai ya DhunD raha hai
party Thap mehman-e-KHususi shair-e-azam
patli gali mein pan ka khokha DhunD raha hai
yaro baiThe nahren khodo baaten chhoDo
main use DhunD lun mujhe jo tanha DhunD raha hai
ek laDki apne liye laDki DhunD rahi hai
ek laDka apne liye laDka DhunD raha hai
mobile par app lagao kaam chalao
kaun purane shahar ka naqsha DhunD raha hai
roze rakhwao khulwao jannat pao
banda to do waqt ka khana DhunD raha hai
meri iklauti T-shirt pe qabza jamae
achchha roommate apna kachchha DhunD raha hai
khil-khila ke load-shedding se faiz uTha ke
yusuf-jaani tujhe ye andha DhunD raha hai
gadle pani se dhulte station par kis ko
garma-garm si chae ka piyala DhunD raha hai
sine par do qabron kai tawiz bandhe hain
bach kar, dhup! mujhe ek saya DhunD raha hai
u-e-t mein chhuTTiyan hone wali hain dost
kaun sa hostel kis ka kamra DhunD raha hai
(944) Peoples Rate This