Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_200990ef3ef4423e1764a3240374e4c7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gul-e-suKHan Se Andheron Mein Tab-kari Kar - Idris Babar Poetry In English - Darsaal

Gul-e-suKHan Se Andheron Mein Tab-kari Kar

gul-e-suKHan se andheron mein tab-kari kar

nae sitare khila KHwab-shaar jari kar

bas ab faqir ki duniya mein aur daKHl na de

teri bisat hai dil bhar so shahr-yari kar

main karobar-e-jahan ko sameT kar aaya

bas itni der to dil ki nigah-dari kar

yahin kahin kisi lamhe mein dil bhi hai larzan

tawajjoh sare zamanon pe bari bari kar

wahi na ho ki ye sab log sans lene lagen

amir-e-shahr koi aur KHauf tari kar

ye qaht-e-nur to 'babar' KHabar nahin kab jae

so dil ke arsa-e-KHali mein KHwab-yari kar

(1093) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gul-e-suKHan Se Andheron Mein Tab-kari Kar In English By Famous Poet Idris Babar. Gul-e-suKHan Se Andheron Mein Tab-kari Kar is written by Idris Babar. Read famous Poem Gul-e-suKHan Se Andheron Mein Tab-kari Kar for youth and Student by Idris Babar. Free Download Gul-e-suKHan Se Andheron Mein Tab-kari Kar in PDF.