Ek Din KHwab-nagar Jaana Hai
ek din KHwab-nagar jaana hai
aur yunhi KHak-basar jaana hai
umr bhar ki ye jo hai be-KHwabi
ye usi KHwab ka harjaana hai
ghar se kis waqt chale the hum log
KHair ab kaun sa ghar jaana hai
maut ki pahli alamat sahib
yahi ehsas ka mar jaana hai
kisi taqrib-e-judai ke baghair
Thik hai jao agar jaana hai
shor ki dhul mein gum galiyon se
dil ko chup-chap guzar jaana hai
(857) Peoples Rate This