Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_66d4031ca8972ad42a43f3706ca80473, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Koi Aaina Nahin TuT Ke Rah Gaya To Phir - Idris Babar Poetry In English - Darsaal

Dil Koi Aaina Nahin TuT Ke Rah Gaya To Phir

dil koi aaina nahin TuT ke rah gaya to phir

Thik hi kah rahe ho tum Thik na ho saka to phir

us ko bhulane lag gae is mein zamane lag gae

baad mein yaad aa gaya wo koi aur tha to phir

phul hai jo kitab mein asl hai ki KHwab hai

us ne is iztirab mein kuchh na paDha likha to phir

raste ajnabi se the peD the so kisi ke the

ye koi sochta to kyun aur koi sochta to phir

ab use KHwab jaan ke so raho lambi tan ke

yaad na aa saka to kya yaad bhi aa gaya to phir

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Koi Aaina Nahin TuT Ke Rah Gaya To Phir In English By Famous Poet Idris Babar. Dil Koi Aaina Nahin TuT Ke Rah Gaya To Phir is written by Idris Babar. Read famous Poem Dil Koi Aaina Nahin TuT Ke Rah Gaya To Phir for youth and Student by Idris Babar. Free Download Dil Koi Aaina Nahin TuT Ke Rah Gaya To Phir in PDF.