Ab Masafat Mein To Aaram Nahin Aa Sakta
ab masafat mein to aaram nahin aa sakta
ye sitara bhi mere kaam nahin aa sakta
ye meri saltanat-e-KHwab hai aabaad raho
is ke andar koi bahram nahin aa sakta
jaane khilte hue phulon ko KHabar hai ki nahin
bagh mein koi siyah-fam nahin aa sakta
har hawa-KHwah ye kahta tha ki mahfuz hun main
bujhne walon mein mera nam nahin aa sakta
main jinhen yaad hun ab tak yahi kahte honge
shahzada kabhi nakaam nahin aa sakta
Dar hi lagta hai ki raste mein na rah jaun kahin
kahlawa dijiye mein sham nahin aa sakta
(891) Peoples Rate This