Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6d4644463ea2bf81060176aedac4f1da, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uns To Hota Hai Diwane Se Diwane Ko - Ibrat Bahraichi Poetry In English - Darsaal

Uns To Hota Hai Diwane Se Diwane Ko

uns to hota hai diwane se diwane ko

koi apna ke dikhae kabhi anjaane ko

KHud-kushi jaisa koi jurm nahin duniya mein

koi batlata nahin ja ke ye parwane ko

saqi-e-waqt ne jab chhin li hathon se sharab

main ne Takra diya paimane se paimane ko

KHak-zada nahin paida hua aisa koi

jo haqiqat mein badal de mere afsane ko

abrha jaisa agar ho gaya paida koi

kya bacha paenge hum apne KHuda-KHane ko

ek mufsid ki ye phailai hui hai afwah

raat-bhar shama se nafrat rahi parwane ko

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uns To Hota Hai Diwane Se Diwane Ko In English By Famous Poet Ibrat Bahraichi. Uns To Hota Hai Diwane Se Diwane Ko is written by Ibrat Bahraichi. Read famous Poem Uns To Hota Hai Diwane Se Diwane Ko for youth and Student by Ibrat Bahraichi. Free Download Uns To Hota Hai Diwane Se Diwane Ko in PDF.