Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e063a486f7ce790e01a19c5b763e0c97, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chahe Sahra Mein Chahe Ghar Rahna - Ibrat Bahraichi Poetry In English - Darsaal

Chahe Sahra Mein Chahe Ghar Rahna

chahe sahra mein chahe ghar rahna

zindagi se qarib-tar rahna

jis ke ghar jaana mehman ban kar

us ke ghar yar muKHtasar rahna

chahte ho agar mile shohrat

roz ki taza ek KHabar rahna

ye munafi hai aadamiyat ke

be-KHabar aur KHud-nigar rahna

aanch aane na pae izzat par

tum guhar ho sada guhar rahna

karnamon se apne ai hamdam

tum amar ho to phir amar rahna

ye guzarish hai tum se ai 'ibrat'

umr-bhar mere ham-safar rahna

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahe Sahra Mein Chahe Ghar Rahna In English By Famous Poet Ibrat Bahraichi. Chahe Sahra Mein Chahe Ghar Rahna is written by Ibrat Bahraichi. Read famous Poem Chahe Sahra Mein Chahe Ghar Rahna for youth and Student by Ibrat Bahraichi. Free Download Chahe Sahra Mein Chahe Ghar Rahna in PDF.