Be-zamiron Ke Kabhi Jhanse Mein Main Aata Nahin
be-zamiron ke kabhi jhanse mein main aata nahin
mushkilon ki bhiD se hargiz main ghabraata nahin
mujh se ab apni zaban se kuchh kaha jata nahin
jurm kar ke bhi koi mujrim saza pata nahin
meri KHuddari sada karti hai meri rahbari
main kabhi patthar se apne sar ko Takraata nahin
haq-shanasi mera maslak haq-parasti mera kaam
main khilaunon se kabhi dil apna bahlata nahin
peD jo deta hai saya dhup mein rahta hai wo
raushni deta hai jo wo raushni pata nahin
aadmi ke pas KHud zati masail hain bahut
dusron ke ab masail koi suljhata nahin
aarzuon ke charaghon ko bujha baiTha hun main
koi insan aa ke mere dil ko bahlata nahin
(734) Peoples Rate This