Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2ada50440acc58780eb2e3b16ac40c58, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Wadi O Sahra Ka Safar Hai Kyun Hai - Ibrahim Ashk Poetry In English - Darsaal

Zindagi Wadi O Sahra Ka Safar Hai Kyun Hai

zindagi wadi o sahra ka safar hai kyun hai

itni viran meri rah-guzar hai kyun hai

tu ujale ki tarah aa ke lipaT ja mujh se

ek andhera sa idhar aur udhar hai kyun hai

roz milta hai koi dil ko lubhane wala

phir bhi tu hi mera mahbub-e-nazar hai kyun hai

ghar ki taswir bhi sahra ki tarah hai lekin

farq itna hai ki diwar hai dar hai kyun hai

jis ko dekhun wahi barbaad hua jata hai

aadmi kya hai mohabbat ka khanDar hai kyun hai

main samundar hun magar pyas hai qismat meri

mere daman mein agar 'ashk' guhar hai kyun hai

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Wadi O Sahra Ka Safar Hai Kyun Hai In English By Famous Poet Ibrahim Ashk. Zindagi Wadi O Sahra Ka Safar Hai Kyun Hai is written by Ibrahim Ashk. Read famous Poem Zindagi Wadi O Sahra Ka Safar Hai Kyun Hai for youth and Student by Ibrahim Ashk. Free Download Zindagi Wadi O Sahra Ka Safar Hai Kyun Hai in PDF.