Uski Ek Duniya Hun Main Aur Meri Ek Duniya Hai Wo
us ki ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo
dasht mein tanha hun main aur shahr mein tanha hai wo
main bhi kaisa aaina hun aaina-dar-aina
dur tak chehra-ba-chehra bas nazar aata hai wo
us ki KHush-bu se mahak kar phul ban jata hai dil
mausam-e-gul ki tarah aata hai wo jata hai wo
zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar
is safar mein bar-ha mil kar bichhaD jata hai wo
KHwab kya hai ek khanDar hai ye khanDar kitna hasin
is khanDar mein sair karne ke liye aata hai wo
main sarapa aarzu hun aarzu-e-na-tamam
mujh ko har manzil se aage ki KHabar deta hai wo
husn kya hai ek ghazal hai 'ashk' ek taza ghazal
jam hai mina hai wo saghar hai wo sahba hai wo
(994) Peoples Rate This