Teri Zamin Se UThenge To Aasman Honge
teri zamin se uThenge to aasman honge
hum aise log zamane mein phir kahan honge
chale gae to pukaregi har sada hum ko
na jaane kitni zabanon se hum bayan honge
lahu lahu ke siwa kuchh na dekh paoge
hamare naqsh-e-qadam is qadar ayan honge
sameT lijiye bhige hue har ek pal ko
bikhar gae jo ye moti to raegan honge
uchaT dil ka Thikana kisi ko kya malum
hum apne aap se bichhDe to phir kahan honge
hain apni mauj ke bahte hue samundar hum
tamam dasht-e-junun mein rawan-dawan honge
ye bazm-e-yar hai qurban jaiye is par
suna hai 'ashk' yahan dil sabhi jawan honge
(1437) Peoples Rate This