Mishal-ba-kaf Kabhi To Kabhi Dil-ba-dast Tha
mishal-ba-kaf kabhi to kabhi dil-ba-dast tha
main sail-e-tirgi mein tajalli-parast tha
har ek kamand arsa-e-afaq hi pe thi
lekin buland jitna hua utna past tha
thi hausle ki baat zamane mein zindagi
qadmon ka fasla bhi yahan ek jast tha
bikhre hue the log KHud apne wajud mein
insan ki zindagi ka ajab bandobast tha
marne ke baad azmat o shohrat se faeda
lekin jahan tamam hi murda-parast tha
sarmaya-e-hayat the kuchh naqd-e-dagh-e-dil
sach baat to hai ye ki bahut tang-dast tha
arz-e-niyaz-e-shauq se tha be-niyaz dil
mulk-e-hawas mein 'ashk' akela hi mast tha
(987) Peoples Rate This