Duniya LuTi To Dur Se Takta Hi Rah Gaya
duniya luTi to dur se takta hi rah gaya
aankhon mein ghar ke KHwab ka naqsha hi rah gaya
us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein
sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya
duniya bahut qarib se uTh kar chali gai
baiTha main apne ghar mein akela hi rah gaya
wo apna aks bhul ke jaane laga to main
aawaz de ke us ko bulata hi rah gaya
hamrah us ke sari bahaaren chali gain
meri zaban pe phul ka charcha hi rah gaya
kuchh is ada se aa ke mila hum se 'ashk' wo
aankhon mein jazb ho ke sarapa hi rah gaya
(889) Peoples Rate This