Dair-o-haram Mein Dasht-o-bayaban-o-bagh Mein

dair-o-haram mein dasht-o-bayaban-o-bagh mein

DhunDo na mujh ko main hun KHud apne suragh mein

han ai asiro KHair se ho kis suragh mein

khilte hain ab to phul hawa-bast bagh mein

is barf-zar mein bhi jalati hi jati hai

wo ek shabih jo hai nihan dil ke dagh mein

rahta hai ab zamin pe wo aasman-pasand

han wo KHajil tha jis se KHuda bhi dimagh mein

mumkin nahin ki ghaar mein dil ke utar sake

mange ki raushni hai tumhaare charagh mein

kya qadr wo karenge kisi KHush-nawa ki 'hosh'

tafriq kar saken jo na qumri-o-zagh mein

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dair-o-haram Mein Dasht-o-bayaban-o-bagh Mein In English By Famous Poet Ibraheem Hosh. Dair-o-haram Mein Dasht-o-bayaban-o-bagh Mein is written by Ibraheem Hosh. Read famous Poem Dair-o-haram Mein Dasht-o-bayaban-o-bagh Mein for youth and Student by Ibraheem Hosh. Free Download Dair-o-haram Mein Dasht-o-bayaban-o-bagh Mein in PDF.