Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2ebfcc47deb0ed65a298a65e9b5a45d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lab-o-ruKHsar O Jabin Se Miliye - Ibn-e-Safi Poetry In English - Darsaal

Lab-o-ruKHsar O Jabin Se Miliye

lab-o-ruKHsar o jabin se miliye

ji nahin bharta kahin se miliye

yun na is dil ke makin se miliye

aasman ban ke zamin se miliye

ghuT ke rah jati hai ruswai tak

kya kisi parda-nashin se miliye

kyun haram mein ye KHayal aata hai

ab kisi dushman-e-din se miliye

ji na bahle ram-e-ahu se to phir

taer-e-sidra-nashin se miliye

bujh gaya dil to KHarabi hui hai

phir kisi shola-jabin se miliye

wo koi hakim-e-dauran to nahin

mat Daren un ki nahin se miliye

(1137) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab-o-ruKHsar O Jabin Se Miliye In English By Famous Poet Ibn-e-Safi. Lab-o-ruKHsar O Jabin Se Miliye is written by Ibn-e-Safi. Read famous Poem Lab-o-ruKHsar O Jabin Se Miliye for youth and Student by Ibn-e-Safi. Free Download Lab-o-ruKHsar O Jabin Se Miliye in PDF.