Kuchh Bhi To Apne Pas Nahin Juz-mata-e-dil
kuchh bhi to apne pas nahin juz-mata-e-dil
kya is se baDh ke aur bhi koi hai imtihan
likhne ko likh rahe hain ghazab ki kahaniyan
likkhi na ja saki magar apni hi dastan
dil se dimagh o halqa-e-irfan se dar tak
hum KHud ko DhunDte hue pahunche kahan kahan
us bewafa pe bas nahin chalta to kya hua
uDti rahengi apne gareban ki dhajjiyan
hum KHud hi karte rahte hain fitnon ki parwarish
aati nahin hai koi bala hum pe na-gahan
(986) Peoples Rate This