Chhalakti Aae Ki Apni Talab Se Bhi Kam Aae
chhalakti aae ki apni talab se bhi kam aae
hamare samne saqi ba-saghar-e-jam aae
farogh-e-atish-e-gul hi chaman ki ThanDak hai
sulagti chiKHti raaton ko bhi to shabnam aae
bas ek hum hi liye jaen dars-e-ijz-o-niyaz
kabhi to akDi hui gardanon mein bhi KHam aae
jo karwan mein rahe mir-e-karwan ke qarib
na jaane kyun wo palaT aae aur barham aae
nigar-e-subh se puchhenge shab guzarne do
ki zulmaton se ulajh kar wo aai ya hum aae
ajib baat hai kichaD mein lahlahae kanwal
phaTe purane se jismon pe saj ke resham aae
masih kaun bane sare hath aaluda
lahuluhan hai dharti kahan se marham aae
(1181) Peoples Rate This